Monday, February 24, 2014

bas aage badhate jana hai

ham bhi hain kabil mushkil ko 

ab to bas ye samjhana hai

majdhar sahi, har baar sahi 

bas aage badhate jana hai


lahre sagar ka gehna hain

unka aana swabhavik hai

choti unchi neechi lehren 

toofan aana bhi jayaz hai

jo tum na mano haar ye lehren

apna seesh jhukayegi 

jo tumne mani haar ye lehren

tumko aaj dubayegi

lahron se ham kyon daren

hame bhoo khoj nai ab lana hai

 

majdhar sahi, har baar sahi 

bas aage badhate jana hai

 

rasta seedha sab chal jayen

mushkil aai to ruk jayen

par veer wahi kehlate hain

jo aage badhate jate hain

aandhi aaye toofan aaye

sab ruk jayen to ruk jayen

path me jo aai chattane 

unko bhi ab pighalana hai

jab sabne ghutane tek diye

tab hamko paon badhana hai

 

majdhar sahi, har baar sahi 

bas aage badhate jana hai


jinko hai pyar udano se

wo kab darte gir jane se

jo gir kar ham yun ruk jate

jo thak kar ham yun jhuk jate

to kya panchi hamse jalate

to kya tare ham chu pate

har galati se seekha hamne 

har baar naya vishwas jaga

jo chaha hai wo paya hai

ye geet hame fir gana hai


majdhar sahi, har baar sahi 

bas aage badhate jana hai

No comments:

Post a Comment