path ke bargad ki chaon me
tu tham na jana ae rahi
un meethi thand hawaon me
tu ram na jana ae rahi
hai door talak tujhko jana
hai manzil ka paigam yahi
har path par rahe footi hain
in raho ki bharmaron me
tu ghum na jana ae rahi
path ke bargad ki chaon me
tu tham na jana ae rahi
un meethi thand hawaon me
tu ram na jana ae rahi
jab chaya ghoor andhera ho
gir jane ka dar gehra ho
jab koso door savera ho
bas ek deepak ki kwaish me
tu jam na jana ae rahi
path ke bargad ki chaon me
tu tham na jana ae rahi
un meethi thand hawaon me
tu ram na jana ae rahi
din me sooraj ka sath liye
raton me pyar andhere se
badhata ja tu apni dhun me
bas ek sathi ki chahat me
tu gham na jana ae rahi
path ke bargad ki chaon me
tu tham na jana ae rahi
un meethi thand hawaon me
tu ram na jana ae rahi
No comments:
Post a Comment